Home Page
My Complete Bio Data
Family Snap
Relatives Snap
Friends Snap
Joke's For Friend's
Urdu Poetry
My Poetry
My Own Ghazals And Songs
Some Songs And Ghazals
Favorite Links Page
Come And Sign Here
Urdu Joke's
|
All Are Dukhi Songs And Ghazals
|
|
|
 |
All Are Dukhi Songs And Ghazals
udasiyan saath jo na latey to aur kya kerte na jashn-e-shola manaate to aur kya kerte
undhera aaya tha maangney roshni ki bheek
hum apna gher na jalate to aur kya kerte
dard rukta nahein eik pul bhi ishq ki ye saza mil rahi hai
mout se pehle hi mer gaye hum chout nazron ki aisi lagi hai
dard rukta nahein ik pul bhi
bewafa ityna ihsan ker de kum se kum ishq ki laaj rukh le
do qadam chul ke kaandha to de dey tere aashiq ki maiyat uthi hai
mout se pehley hi mer gaye hum chout nazror ki aisi lagi hai
dard rukta nahien ik pul bhi
raat katti hai gin gin ke taaarey neend aati nahien eik pul bhi
ankh lagti nahein ab humari ankh us but se aisi lagi hai
mout se pehley hi mer gaye hum chout nazron ki aisi lagi hai
dard rukta nahein eik pul bhi
do qadam reh gaya tha kinaara yuk bayuk aa ke mojon ne ghera
dekho aye ahle sahil tamasha meri kashti kahan dobti hai
mout se pehley hi mer gaye hum chout nazron ki aisi lagi hai
dard rukta nahein eik pul bhi
is qadar mere dil ko nichora eik qatra lahooo ka na chora
jugmagati hai jo un ki khilwat wo mere khoon ki roshni hai
mout se pehle hi mer gaye hum chout nazron ki aisi lagi hai
dard rukta nahein eik pul bhi
lerkharata howa jub bhi nadan un ki rangeen mehfil mein pohncha
dekh ker mujh ko logon se bola ye wohi bewafa aadmi hai
mout se pehley hi mer gaye hum chout nazron ki aisi lagi hai
dard rukta nahein eik pul bhi
Rizwan Sheikh( Deewana ... Pagal .......................... )
2. Song Mujhey Katul Ker ke Mehendi
kitney situm tumhare hein kitna hai mera zakhm
aaj aao kuch tumhara humara hisab ho
mujhey katul ker ke mehndi mere khoon ki lagana
jub uthey mera janaza shehnayian bajana
jo diye hein tyuney dil ko wohi zakhm ab jalein gey
kabhi bhool ker lehd per koi shama na jalana
nahein shikwa koi zalim meri iltaja hai tujh se
tu kisi ki jhonpari ko na meri tarah jalana
jisey mout ne na pocha wohi budnaseeb houn mein
kabhi jis ko tuney lota kabhi lut gaya zamana
pasy murg aur ishrat meri lassh per wo
unhein kafun ko hata ker meri bebasi dikhana
3.Song Jaane Kiuon Mein Tum Se Muhabat Kerta Houn
Is zamane ne is muhabat ne
Kitne dil tore kitne gher phonke
Jaane kiuon mein tum se muhabat kiya kerta hon
Dil ke budle dard-e-dil liya kerta hon
Tunhai mili hai mehfil nahein mili
Rah-e-muhabat mein kabhi munzil nahein mili
Dil toot gaya hai naakaam howa hai
Ulfat mein mere dil ka ye unjaam howa hai
Koi kiya jaane kiuon mein deewana
Kiuon muchulta hon ghum mein julta hon
Aahein bher bher ke ab mein to rota hon
Us waqt meri ankh num ho jati hai
Fursat mein jub dil ko teri yaad aati hai
Meri zindagi tere peeche berbad ho gayi hai
Apni bhi zindagi ab meri faryaad ho gayi hai
Na dawaon(medicine) ka naam chulta hai
Na duaaon(prayers) se kaam chulta hai
Zahr ye phir bhi bar bar mein piya kerta hon
4.Song Weriya Wey Ho Kiya Kya Qasoor
Wieriya we ho kiya kya qasoor mein ne tera
Chahye jo salook ker
Mujhey manzoor per
jurm zaroor dus mera way
Ankhion mein bus ke ankhiyon se dus ye
Leta nahein huns ke salam tu
Itna to kaam ker mujhey budnam ker
Koi bhi laga ke ilzam tu
Ker kuch bahana kon sa na mana
Hukm hazoor dus tera way
Acha kiya tune tora dil mera jo bara maghroor tha
Apni wafa pe shrmo haya pe kabhi mujhe itna gharor tha
Dadmon mein rukh diya tota howa ghroor ye
Yahan nahehin chulta zor dilon ka
Yahan dastoor chulte hein
Gul sun sajna chul mere bulma
Dunioyan se dodrr chulte hein
Yahan nahein rehna itna tha kehna
Mun gul meri aaj way
All Dukhi Ghazals ( Rizwan Sheikh)
1. Ghazal ik Ishq Ka Ghum AAfut
ik ishq ka ghum aafut aur us pe ye dil aafut
ya ghum na diya hota ya dil na diya hota .
umeed to buyn jaati taskeen to ho jati
wada na wafa kerte wada to kiya hota .
gheron se kaha tum ne gheeron se suna tum ne
kuch hum se kaha hota kuch hum se suna hota .
2.kuch na kisi se bolein gey tanhai mein ro lein gey
hum berhah rawon ka kiya saath kis ke ho lein gey
khud to howe ruswa lekin tere bhed na kholein gey
neend to kiya aaye gi faraz mout aayi do lein gey
tanhai mein ro lein gey
3.mein khushbuon si bhikri rahi tumhare liye
her aainye mein sanwerti rahi tujmhare liye
tumhara saath rahe zindagi ki rahon mein
qadam qadam pe therti rahi tumhare liye
tumhi ko manga hai sajdon mein umr bher mein ne
khuda ko yaad bhi kerte rahi tumhare tumhare liye
4. Ghazal Ishq Ka Rog
1.Kithey Ishq da rog na la bethein ( Kahein dil ka rog na la lena )
2.Jind wakhtan vich na pa bethein ( Zindagi dukhon mein na dal lena )
3.Yari Ishq de naal na la bethein ( Kahein Kisi se Pyar na ker bethna )
4.Aae yaar bana ke lutt lenda ( Ye pyar insan ko tabha ker deta hai )
5.Aae Ishq hawas da dakuo aae ( Ye Pyar Bara Bewafa hai )
6.Bus naain mila ke Luttt lenda ( Bewafaon se nazrein milao ge to lutt jao gay )
7.Sub charkey Pani pul jayein ga ( Sub duniyan ki batein bhool jao ge )
8.Vich galiyan de toon rul jayein ga ( Galion (streets) mein tum gum ho jao ge )
9.Aae paar na kidre chaa bethein ( Ye bhar ( wazun ) Kahein tum na uth lena
.Kithey Ishq da rog na la bethein ( Kahein dil ka rog na la lena )
......................................................................................................................................
10.Jug hai nishahna Ishq da...( Ishq ka nishana hum deewane hein ).
11.Gher gher fasana Ishq da...( Ishq ka fasana gher gher mein hai ).
12.Munzil hai gehre Ishq di...( Ishq ki munzil bohut door hai ).
13.Wakhri kachehri Ishq di ....( Ishq ki adalut bhi bohut juda hai ).
14.Jungle ich pherey Ishq de...( Jungle mein bhi Ishq ke churcey (Batein) hein ).
15.Urshan te pherey Ishq de...( Aasmanon per bhi Ishq ki Batein hein ).
16.Maunda raza mutlob di...( Ye Ishq jo chahta hai wohi kerta hai ).
17.Sunda ay gal mehboob di...( Ye Ashiq sirf Mehboob ki baat hi manta hai ).
18.Kerda kisay da kakh naein...( Aashiq kuch nahein ker sakta bekaar ho jata hai ).
19.Gal da aqal naal weir ay...( Asihq apne dimagh se kaam nahein leta bulke apne demagh ka dushmun bun jata hai).
20.Kuutian de chumda ay paer way....( Ashiq mehboob ki khatir kutton (Dogs) ke paon ( Foots )ko bhi Kis ker leta hai ).
21.Kidre dil na kise naal la bethein... ( Kahein dil na kisi ko de ker us ka dil le lena ).
22.Kithey Ishq da rog na la bethein...( Kahein dil ka rog na la lena ).
23.Bun challa rona husna waan...( Ab mein Pagal bun ker kabhi rota hon aur kabhi hansta hon ).
24.Rataan nuon uth uth nasna waan... ( Ab mein raton ko uth uth ker bhagta hoon ).
25.Sujh bujh na apni gawa bethein... ( Apni aqal kahein na gawa bethna ).
................................................................................................................................................................................................
26.Kithey dubda kithey tarda... ( kahein doob jata hai khaein terne ( Swim) lugta hai ).
27.Muon chum lainda jadon tarda ...( Jub ye tehrta hai to phir moun ( face ) choom (kiss) leta hai ).
28.Kithey jitda kithey haarda... ( kabhi ye jeet jata hai aur kabhi haar jata hai ).
28.Ankhan vich chalaan maarda... ( Ankhein roti hi reh jatein hein ).
30.Puther powaye Isq ne... ( Is ishq ne mujhe Puther ( stones ) bhi perwaye ).
31.Dund we kadhaye Ishq ne... ( Is ishq ne mujh per bara zulm kiya hai ).
32.Huns ke fer naein bolda... ( Mein ab huns ker nahein bolta ) .
33.Muon we kujh naein bolda... ( Muon ( mouth ) se bhi kuch nahein bolta ).
34.Wakhri namaz ay Ishq di... ( Ishq ki namaz bhi bohut juda hai ).
35.Wakhri meaad ay Isq di...( Is ki Fitrat bhi sub se juda hai ).
36.Bus sajna nuon dil tolda... ( Ye sirf mehboob ko dil mein rukhta hai ).
37.Hafiz aye dur dur rolda...( Is ne to bare bare insanon ko rulaya hai ).
5. Ghazal
Kuch piar jahan mein aasiey hein ashkon mein jo pultey dhekey hein
Dushmun to na budley apne kabhi humdum hi budultey dhekey hein
Kuch na kisi se bolein gey tunhaiy mein ro lein gey
Hum be rah rawon ka kiya saath kisi ke ho lein gey
Khud to howey ruswa lekin terey bheid na kholein gey
Neend to kiya aaye gi waseem mout aayi to so lein gey
Tunhayi mein ro lein gey kuch na kisi se bolein gey
6.Ghazal
Wo rulata hai to rulaye mujhey
Wo meri ankh hai mein usko rulaon keisey
Ashkon ke moti hum ne peroye tamam raat
Ik bewa ki yaad mein roye tamam raat
Aisi giri zehan pe yadon ki bijliaaaan
Bethey rahey khialon mein khoye tamam raat
Kehney lugey wo sun ke mera haledil ke bus
Itni si baat pe kiya roye tamam raat
7.Ghazal
Ye nahein ghum ke qasam apni bhulayi tum ne
Ghum to ye hai ke raqeebon se nibhayi tum ne
Zindgani ka safar tunha bhi kut hi jata
Kis liye rah muhabat ki dikhayi tum ne
Koi rujish thi agr mujh se kehte
Baat aapus ki thi kiuon sub ko batayi tum ne
8.Ghazal
Jo tumhein piar de sake apna
Aisa ik dil talash ker lena
Mein to bhatka howa musafir houn
Apni munzil talash ker lena
Tum mere saath chul na paaoo gay
Meri rahon mein to sirf kantey hein
Phool bersein tumhare damun per
Aisi mehfil talash ker lena
Doob jana naseeb hai mera
Alwida aakhri salam tumhein
Tum na aana qareeb tofan ke
Koi saahil talash ker lena
9.Song Teriyan Yadaan
Sawan ki bheegi raaton mein
Jub phool khilein berston mein
Jub cherein dost mujhe baton mein
Manon yadaan terian aaondiaaan ney
Jub dil per khunjer rakh leta houn
Poch na kesie seena cheerta houn
likh ker tera naam jhomta houn
Sari baatein sun leta houn
Aadhi batein keh jaat houn
Khushbu nahein milti kalioun mein
Koi Rung nahein rungralion mein
Gaaon ki soooni guliuon mein
Apna dukhra keh nahein sakta
Aur judai seeeh nahin sakta
Kachaey gharey per beh nahein sakta
Beth kinarey reh nahein sakta
Mein pehn ke paayal paon mein
Tera rusta dekhon rahoon mein
Peepul ki thandi chaon mein
Kub tuk tum perdeis raho gi
Aao gey na khut likho gey
Mein ghut ghut ker jaaan de doun ga
Phir tum kis ko jaan kaho gi
Dhondo gey jungle maaley mein
Her baasti mein her melleey mein
Gaaooo gey yeahi akailey mein
Maonon yadaan terian aaondiaan ne
Manon yadan triayan aaondian ne
|
|
|
|
|